Tum Jab Aao Gi Tu Khoya Hwa Paao Gi Mujhey

Tum Jab Aao Gi Tu Khoya Hwa Paao Gi Mujhey

Jaun Elia


Tum Jab Aao Gi Tu Khoya Hwa Paao Gi Mujhey
Meri Tanhayi Main Khwaabon K Siwa Kuch Bhi Nahi

Meray Kamray Ko Sajaanay Ki Tamanna Hai Tumhain ?
Meray Kamray Main Kitaabon K Siwa Kuch Bhi Nahi

In Kitaabon Ney Barra Zulm Kiya Hai Mujh Pr
In Main Ik Ramz Hai Jismain Ramz Ka Maara Hua Zehan

Muzda-e-Ishrat-e-Anjaam Nahi Paa Sakta
Zindagi Mein Kabhi Aaram Nahi Paa Sakta