shikasta khwab r shiksta paa hon mujhay duaon mai yaad rkhna

Shikasta khwab-o-shikasta pa hon mujhe duaon mein yaad rakhna
Main aakhri jang larr raha hon mujhay duaon mein yaad rakhna

Hawaein paegham day gai hein keh mujh ko darya bula raha hay
Main baat sari samajh gya hun mujhay duaon mein yad rakhna

Na janaay Koofay ki kya khabar ho na janay kis dasht main basar ho
Main phir Madiney sey ja rha hon mujhay duaon main yad rakhna

Mujhay azeezan-e-man mohabbat ka koi bhi tajarba nahin hai
Main is safar main nya nya hon, mujhay duaon main yad rakhna

Mujhey kisi say bhalai ki ab koi tawaqqou nahin hai Tabish
Mein aadtan sab se keh raha hon mujhay duaon mein yad rakhna