qasmain waday rah jatay hain

Qasmain waday rah jatay hain
Insaan adhay rah jatay hain
Khat say khushbou urr jati hai
kaghaz saday rh jatay hain
Rab ki mrzi hi chlti hai
Aur iraday rah jatay hain

Lab pr ongli rkh leti hou
Hum chup sadhay rah jatay hain
Iss k roube husan k aagay 
maray bandhay rh jatay hain