Mujh pay sar sabz rhay mery gaon ka manzar aameen
Shehar mar jaye meray jism k andar aameen
Doobtay hath othay aab k khaliq-e-imdaad
Abar kahnay lga aameen smndar aameen
Aesa lgta hai mujhay dhound rha hgai koi
Abb tu hatt jaye ye benai ka pthar aameen
Baar yabi hai khamoshi main duaon jesi
Dil ki dhrkan hai k aameen muqrarrar aameen
Aalam-e-khwab hai aur sar trri dehleez pay hai
Kash mar jaon isi khwab k andar aameen |