OS ney jab jab bhi mujhe dil say pukara Mohsin
Main ney tab tab yeh bataya k tumhara Mohsin
Log sadyon ki khataon pey bhi khush bastey hain
Humko lamhon ki wafaon ney ojara Mohsin
Jab agiya ho ye yaqin ab woh nahin aega
Gham aur ansou ney diya dil ko sahara Mohsin
Woh tha jab pas tou jeeney ko bhi dil krta tha
Ab tou pal bhar bhi nahi hota guzara Mohsin
Osko pana tou muqaddar ki lakeroun men nahin
Oska khona bhi karen kaisay gavara Mohsin