Wo Khat Kay Purzay Orra Raha Tha
Hwaon Ka Rukh Dikha Rha Tha
Btao Kexay Wo Behta Darya
Jo Arha Tha To Ja Raha Tha
Kuch Aur Bhi Hogya Numaayan
Main Apna Likha Mita Rha Tha
Dhwan Dhwan Hogai thien Aankhain
Chragh Ko jab Bujha Rha Tha
Mundair Say Jhuk K Chand Kal Bhi
Parosiyon Ko Jga Rha Tha
Ossi Ka Eiman Badal Gya HAi
Kabhi Jo Mera Khuda Rha Tha
Wo Ek DIn Ek Ajnabi Ko
Meri Kahani Suna Rha Tha
Wo Omer Km Kr Rha Tha Meri
Main Saal Apnay Brha Rha Tha
Khuda Ki Shayed Raza Ho Is Main
Tumhara Jo Faisla Rha Tha
Gulzar